Patthar Ke Sanam Mohammad Rafi

Posted by admin on February 7, 2008 under Hindi Lyrics | Comments are off for this article

Patthar ke sanam, tujhe hamne, muhabbat ka khuda jaana
Badi bhool huwi, are hamne, ye kya samjha ye kya jaana

Manojkumar Vahida Raheman in Patthar Ke Sanam

Chehra tera dil mein liye, chalte chale angaaron pe
Tu ho kahin, sajde kiye hamne tere rukhsaaron pe
Ham sa na ho, koyi diwaana, patthar ke …

Socha na thaa badh jaayengi, tanhaaiyaan jab raaton ki
Rasta hamein dikhalaayengi, shama-e-wafa in aankhon ki
Thhokar lagi, phir pehchaana, patthar ke …

Eh kaash ke hoti khabar tune kisse thhukraaya hai
Shisha nahin, saagar nahin, mandir-sa ik dil dhaaya hai
Saara aasmaan, hai viraana, patthar ke …

Comments are closed.